Saturday, October 25, 2008

roti,kapda aur makaan..ke uper

kisi bhi insaan ki sabse aham zaroorat roti,kapda aur makaan ki hoti hai ..par in sabse uper jo aata hai voh hai samman ...aatmasamman ...jo insaan ko samaj mein ek haisiyat aur apne aap mein ek mahatavapurna hone ka ehsaas dilati hai .
isi ko prapt karne ke liye bihari chhatra naukri-pani ki talash mein apna ghar-dwar se door sab kuch chhod kar apne parijano se hazaro kilometer chale jate hai ....is ummid mein ki jo unhe apne pradesh mein nahi mila ...voh shayad kahi aur mil jaaye .aur unki mehnat aur kabiliyat ke bal par voh sab kuch unhe mil bhi jata hai ..jiski talash aaj ka har yuva karta hai .
par isko paane aur na paane ke pahle jo unhe sahna padta hai ...voh hai bihari hone ka dansh ...bihari hone ki saja ..aur bihari hone ka apmaan ..jo har jagah unka picha karti hai ..kabhi to unke hi muh par ...kabhi unke peeth ke piche aur kabhi kabhi to bihari hone ki saja itni jor se milti hai ki dukh-apmaan se pidit hone ke baad dimag sochne par majboor ho jata hai ki kya "bihari hona hi apne aap mein itni badi saja hai ki koi unhe dekhna nahi chahta ...??"
kal tak jo hindutatva ka jhanda lekar ..ek khas sampradaay ko nishana banaya karte the ..vohi aaj marathi manus ka naam lekar bihariyo par apne julm ki nayi daastaan likh rahe hai ...4 bihari ladko ko itni buri tarah peeta gaya ki un charo ne dum tod diya ...kya jo bihari ladke mare gaye ..unki aakehon mein kuch kar gujarne ke sapne nahi the ...kya unke budhe hote hue ma-baap ki aakhon mein unke ache bhavishya ki kaamna nahi thi ...kya jin logo ke kaaran unki jaan chali gayi ...voh hindustani ka naam lekar unke ma-baap ke aasoon pochne jayenge kabhi ......nahi ..kabhi nahi kyon ki unhe yeh matlab nahi hai ki kaun mara aur kiske asoon tham nahi rahe hai ..
jinko lagta hai ki bihari unka hak maar rahe hai to unko yeh kyon nahi lagta hai ki jab unke bachhe disco mein ja rahe hote hai tab us samay kahi bihari ladka apne aap ki bhi parvaah kiye be-gair din-raat mehnat kar raha hota hai ..sirf ek behtar bhavishya ke liye ..jo voh sirf apne mehnat par paate hai ..unke ma-baap jo ek roti kam kha lete hai par apne bachho ko padhne ke liye 2 paise jayda dete hai taki unka bachha/bachhi padh likh jaaye aur apne pairo par khada ho jaaye ..
aur akhir is gundai ki raajneeti par kab tak voh bihariyo ko unka hak dene se rok sakte hai ....is desh ki neeti-neerdharan karne walo mein ek acha khasa hissa un bihariyo ka bhi hota hai jo UPSC jaise mushkil xam ko paar kar ke jate hai ..
sabse jayda aascharya ko is baat par hai ki ...yeh sab pichle kai saalon se hota aa raha tha ..aur pichle 2 saal mein mumbai mein yeh ek bhayankar samasya ban gayi hai ..phir bhi desh ke sabse bade-bade neta is baat chup baithe the aur unki chuppi ki wajah yehi hai kyon ki unhe is baat se koi matlab nahi hai ki ek bihari naukri ki talash mein jata hai aur kuch log ki hinsa (aur apmaan bhi) ki wajah se dum tod deta hai ...kyon ki unhe bihari se koi matlab hi nahi ...voh sirf ek vote bank hai ...voh mare ya jiye unki bala se !!
aur iski pratikriya jo bihari chhatro ne bihaar mein dikhayi hai ..voh bus unke aakrosh ka ek hissa bhar hi hai ...
sarkar chahe voh maharashtra ki ho ya phir delhi ki kendra sarkaar ya phir bihar ki rajya sarkaar ....agar samay rahte voh nahi chete aur isko rokne ke upaaye nahi kiye gaye ..to aane wale samay mein voh is nafrat ko badhne ke liye saman roop se doshi honge aur apradhi bhi ....aur iska dansh bihariyo ke sath -2 sabko jhelna pad sakta hai

Wednesday, September 17, 2008

khushi

aaj main do blog likh raha hu ...title dono ke veepreet hai..dard aur khushi ...hazaro khwahise aisi ki har khawahish par dum nikle ....bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle ...nikalna khud se adam sunte aaye hai lekin ..bahut be-aabru ho kar tere kuche se hum nikle ....aaj south x mein ghumte mein jo maine dekha voh is ghalib ke sher ko bayan kar jata hai.AIIMS se ek aadmi nikla tha ..apne bachhe ko lekar ghumane ke liye .aarthik roop se voh kisi bmw car mein ghumne wala baap nahi tha .main vohi khada ho kar chai pi raha tha aur barish ke chhut jane ka intezaar kar raha tha .voh bhi vohi aaya ...bagal ki dukaan par std laga kar apne wife ki beemari ki haal bata raha tha .baat cheet se laga ..yaha uske kafi paise kharche ho gaye hai aur jise voh baat kar raha tha ..voh paise lekar delhi aane wala tha.ph jab kar chuka tab voh bhi chai ki dukaan par aaya aur 2 chai aur kuch namkin ka order diya .phir apne bachhe se bola "abhi namkin aur chai le lo..phir tumko ghuma dete hai.."
ladka bola"nahi papa....chai nahi peena"
"phir kya loge" pita ne pucha..
"pepsi" ladka bola..
tabhi us aadmi ne pepsi ka bottle manga ..dukaan daar bola "yaha pepsi ka bottle nahi milega...bada 2 litre ka hai de du ??"
tab uske pita ke chehre aur mathe par maine bal padte dekha ...phir usne dhire se apne pocket mein hath dala..paise nikaal kar gina..
phir apne ladke ki taraf dekh kar bola"chalo hospital mein kharid denge"
chhota bachha ....kya jane ?? voh bol pada ..."nahi papa ...waha nahi milta.yehi se le lo na ..mummy aur shalu ko de denge "
pita dhire se muskuraya ...aur phir dukaandaar ki taraf dekh kar bola"thik hai ..bachhe ko de do ..jo bhi mang raha hai"
bottle hath mein aate hi ..ladke ke chehre par muskaan aa gayi aur bahut khushi bhari nigaah se kabhi bottle ko dekhta to kabhi apne papa ko....

dard

stri ..janani..mahila..aurat..ladki..naam alag alag ho sakte hai par yeh sab ek hi varg ko sambodhit karte hai ..jiska naam hum sabhi janam se hi jante hai.
stri ka janam....jo dard se shuru hota hai aur uski mritiyu (dead) par ja kar kahatm hota hai...aaj is adhunik samaj mein jab hum stri ki azadi ki baat sochte hai aur us par vichar karte hai to pate hai ki log isko ek aandolan ka roop dene ki baat kahte hai ...par kya kabhi voh is baare mein bhi sochte hai ki akhir unhe kis ki aazadi chahiye ?? us stri ki ..jo aadhunik parivaar mein bhi rah kar aaj bhi azadi se ghum nahi sakti ..kyon ki uske aane jaane par parivaar(ya phir uske bhai,pati) ki nazar rahti hai. YA phir unhe apne hi vicharo ki azadi chahiye ..jo mahila aandolan mein to stri ka samarthak hota hai aur parde ke piche uska shoshak !!
agar mere hisaab se dekha jaaye to ghar se shoshan shuru hota hai ..."voh ladka hai ..apni man marzi kar sakta hai" , "nahiiiii...college se sidha ghar aao aur kahi jana ho to ghar par ph karo"..aur kuch nahi to main agar kahu to rasoi(kitchen) bhi ek jariya hai ...jaha yeh janani apna mahatv khud gira leti hai ....sabko ache ache thali mein khana de kar phir khud hi kisi bhi thali YA katore mein khud lena !! kyon ??
ladki hai ....padha likha diya ....career banaana chahti hai to chalo usko apna career bhi banane do par jab shadi ki baat aaye !!!! nahi .....hum tumhare parents hai ....hum tumahri shadi ke liye ladka dekhenge aur ladki kahi kisi ke sath judi hui hai to anjaam yeh hoga ki ya to voh us se alag ho jaye nahi to parivaar se virodh kare !! agar ladke se alag hui to aaj ke samay mein kya ho sakta hai ..kehna nahi hoga .MMS ....jo jaydatar aise hi cases ke hote hai.aur apne parivar se virodh kare to ladki par ilzaam laga diya jata hai.
garib tabke ki baat kare to kahani aur bhi bad se badtar hai .nahi ....sirf baaton se kuch baat nahi banti ...kuch karne ke liye kadam uthana zaroori hai ...mardo( aur is mard ki paribhasha mein sare ladke,bhai,purush,pati aate hai) ko apni soch badalni hogi ....jisne janam diya hai usko uske adhikaar bhi do ....jine ka ...apni soch ko aage rakhne ka .....aur sabse pahle uske liye ek achi sikhsha (education) ..jo usko kabil insaan banayegi..

Wednesday, September 10, 2008

are ruk ja....

“are ruk ja …
are dham ja …
areee ruk ja re bande …
areeee dham ja re bande
ke kudrat has padegi hoooo…..”


Indian ocean ka gaayaa hua “black Friday” ke liye yeh gana sidhe saade shabdo mein sab kuch keh jata hai jo aligarh mein ho raha hai ..par jinko rukna hai …voh kab rukenge ….pata nahi ??
Film aur sahitya ( literature) kisi bhi samaj ya desh ka aaina hote hai . “black Friday” , “Bombay” ,Bhishm sahni ka “tamas” , khushwant singh ka “train to Pakistan” ek aise such se ru-b-ru karata hai jiske bare mein sabne ne padha aur kabhi kabhi tv aur film mein dekha hai par jin logo ne is tamas ko mehsoos kiya hai aur is dukh dard ko saha hai ..voh hi jante hai akhir yeh kya bala hai jiska naam DANGA hai .
Har kahani ka ek madhayantar aur ek ant hota hai ..jo pichle dino aligarh mein hua voh to bus ek madhyantar hai …is dange ki kahani ka koi ant nazar nahi aata ..
Kitne dukh ki baat hai …jiska aasraa sabhi lete hai ..usi ka naam lekar ek aadmi insaan se haivaan ban jata hai aur khun ki nadiya aise bahata hai jaise voh khun na ho kar pani ho ..jiski keemat ka andaja pata tab chalta hai jab voh phir se insaan ban kar kuch sochne par majboor hota hai .
Karl Marx ne sahi kaha tha “ dharm ( religion) aam janta ke liye afim ( opium) hai” aur isi afim ke nashe mein voh haivaan banta hai varna ek mandir aur ek masjid se kisi ka bhala hota to aaj sari dunia ke sadko , muhallo mein mandir , masjid aur dusre dharmik bhavan har dusri gali mein nazar aate !
Ek baar bhagwan budha ja rahe the tabhi daku angulimaal ne unhe marne ke liye roka . bhagwan budha ne kaha “main to ruk gaya ..TU KAB RUKEGA ??”
Hinsa ka jawab pratihinsa nahi hai .hinsa aur pratihinsa dange ka rup leti hai aur badle ki aag ko janam deti hai . badle ki aag manushya ko us chita ki agni se bhi jayda tez jalati hai jis chita par ek murda insaan pada hua hota hai ….fark sirf itna hai ki murde ko us agni ki dahak ka pata nahi chal pata hai aur jinda manushya pal pal us agni ko apne dil ,dimag aur sharir mein mehsus karta hai aur samanta sirf itni hai ki voh aag khatam hone par dono hi raakh mein badal jate hai .ek panch tatva mein vileen ho jata hai aur kahi bhi vileen nahi hota .

Main aaj ke angulimaal daku se puchta hu jo aaj har dharm mein ghus gaye hai ….TU KAB RUKEGA !!

kahani ka plot kya ho????

Kahani ka plot kya ho, is baat par kahanikaar ki vyatha badhti hi ja rahi thi .voh bechara is dukh ko kinare rakh kar kahani ke plot par 2 din se apna sar khapaye ja raha tha . to chaliye is kahani ke kirdaar, jo ek kahanikaar hai, ka naam bhondu rakh dete hai kyon ki bina naam ka kahanikaar ki koi pehchaan nahi hoti hai , akhir har kahanikaar ka koi ek naam hota hai .
Hua yun ki pichle kai dino se bhondu ka haajma acha nahi chal raha tha .rah rah kar uske pet mein dard hota tha . doctor ke paas gaya kyon ki usne dadi ma ke sare nuskhe aajma kar dekh liye the phir bhi uska haajma aur pet ka dard acha nahi hua .ab akhir mein doctor hi ek sahara bachte hai kisi bhi eelaaj ke liye .
Doctor sahib ne uska ache se checkup kiya par bimari ka kya kaaran hai yeh unhe samjh nahi aaya . tab unhone use pneumonia se lekar HIV aur ECG tak ke test karwa daalne ko bola . jab sare report doctor sahib ke paas aaya to doctor sahib haairaan – pareshan !! sare report positive aaye the aur bhondu ka HIV test bhi negative aaya . ECG test bhi sahi aaya . tab doctor sahib ne socha ki ho sakta hai ki bhondu ko manovaigyanik samasya ( psychological problem) ho kyon ki kabhi kabhi manovaigyanik samasya ke kaaran bhi rog paida hote hai . unhone use psycho test karwane ko bhi bola . jab iske bhi result saamne aaye to doctor sahib aur bhi jayda hairaan – pareshan kyon ki bhondu ka IQ , EQ bhi sahi aaya tha . doctor ko laga ki kahi unki MBBS degree to kahi fail to nahi kar jayegi aur phir unhe apna jama jamaya clinic band na karna pade aur MBBS ( miya , biwi, bachha sath) ho kar ghar par baithna pade . akhir market mein bhi unki achi khasi reputation thi aur itne saalo se practice kar rahe the par aisa complicated case nahi aaya tha .
Unhe pasine aane lage , unhone ghanti dabaai . bahar baithi nurse daudi aayi .nurse ko laga ki bhondu kal raat ko pani pilane ko bol raha tha aur voh cable tv par film dekhne mein busy thi , kahi usi ne to kahi shikaayat nahi kar di hai . par uska andaaja galat tha .
“fan chala do” doctor sahib ne hukum diya .
nurse ne unhe ghurte hue dekha kyon ki room mein ac chal raha tha .
“sir……..” nurse ac ke bare mein bolna chah rahi thi ki tabhi doctor sahib se use daat pila di .
“kaha na , fan chalao”
nurse asmanjas ki sthithi mein fan chala kar fan ki hi tarah matakte hue room se bahar chali gayi .
doctor sahib ne preshani ko kam karne ke liye ek cigarette jalaya . bhondu ne apne baaye taraf ki diwal par ek poster dekha “no smoking” ka . par use laga yeh shayad marijo ke liye doctor sahib ne lagaya hai kyon ki ho sakta hai ki unhe apne saamne kisi marij ka cigarette pina acha nahi lagta ho . ek to marij aur ek marij ho kar cigarette pina to aur bhi buri baat hai . isi baat ko dhayan mein rakh kar doctor sahib khud cigarette pi rahe hai , yehi soch kar bhondu ne apne dil ko tassalli di . par bhondu ko kya pata ki uske case ne doctor sahib ko tension de diya aur voh dhunve mein apne tension ko door kar rahe hai .
Idhar doctor sahib soch rahe the ki akhir baat kya hai ? sare test bhi thik hai par phir yeh marij bol raha hai ki uske pet mein dard hota rahta hai aur haajma sahi nahi chal raha hai .tab unhe laga ki ho na ho psycho test mein isne kuch chhipa liya ho kyon ki aksar psycho test mein marij kuch na kuch chhipa leta hai jiske kaaran test mein gadbadi aa jati hai . tab doctor sahib ne uska psycho analysis karna shuru kar diya aur lage psycho interview lene .
Sawal puchte gaye aur bhondu sawal ke jawab deta gaya . isi sawal – jawab mein unhone puchha .
“kya karte ho??”
“kuch nahi” bhondu ne shant sawar mein kaha .
“kuch nahi !!!” doctor sahib ko jhakta laga .
“haan” bhondu ne phir vohi kaha .
“phir bhi kuch na kuch to karte hi hoge” doctor sahib ne use aur kureda.
“kuch karta nahi ..bus kabhi kabhi kuch article , ya phir kahani likha karta hu” bhondu ne kaha.
Doctor sahib ke chehre par 1000 watt ki muskurahat aa gayi .unhe unke marij ki samasya ka hal mil gaya tha . tab tak unki dusri cigarette bhi khatam ho chali thi . unhone vohi par bhondu ka psycho test rok diya . ab doctor sahib ko pakka yekin ho gaya tha ki saamne baitha yeh bhondu jaisa dikhne wala marij bhondu ke pet mein writer banne ka kida paida ho gaya hai aur rah rah kar yehi kida uske pet mein dard paida karta hai aur yehi wajah hai ki iska haajma acha nahi rahta hai .
“tumne bahut dino se kuch likha nahi hai” doctor ne 100+1 percent ke confidence ke sath kaha .
ab jhakta lagne ki bari bhondu ki thi . voh chauk ke bola ,
“haan!! Aapko kaise pata chala??”
ab doctor sahib puri tarah se aaraam ki mudra mein aa gaye .apne jeb se ek gutkha ka packet nikala aur faad kar kha gaye .bhondu ne phir diawal ki taraf dekha .uske dahine taraf ki diwal par likha tha “jindgi chuno …tambaku nahi” , phir bhondu ko laga yeh marijo ke liye hi likha gaya hai .
“aisa karo , ghar jaao . kuch likho ,kuch nahi likhne ke kaaran hi tumhare pet mein dard ho raha hai” doctor sahib gutkhe ke ras ko muh mein ghumate hue bole .
doctor sahib ne chain ki saans li kyonki bhondu ke piche unhone apna pura sar khapa diya tha . voh to shukra hai ki medical ki padhai ke dauraan university walo ne mbbs mein ek paper general psychiatry ka bhi rakha tha varna yeh bhondu to aaj puri medical thesis ki vaat laga deta . ab voh ghar jakar whiskey ke 2 peg laga kar aaraam se tv dekhne ke bare mein sochne lage .
bhondu ko bhi yekin ho gaya kyon ki doctor sahib ne pakad liya tha ki usne bahut dino se kuch bhi nahi likha tha .voh ghar aakar khana pina kha kar likhane ko baitha . socha pen se paper par likhu ya phir computer par hi type karu ?? phir usne socha ki ache ache writer ab paper par nahi likhte , voh ab computer par likhte hai . par samsya yeh thi ki bhondu to hindi mein likhta hai .aur computer mein to sirf English mein hi type ho sakta hai . par bhondu ji apne dil ko yeh kahte hue tassalli di “kya hua agar main computer par hindi bhi English mein type karu!! . akhir hindi filmo ke naam bhi to English mein likhe jate hai aur aaj kal to hindi film USA aur UK mein bhi hindi mein hi hote hai par phir bhi voh hit hote hai” .
bus isi baat ko dhayan mein rakh kar bhondu ji likhne baithe . par yeh kya ???? ab dusri samsya khadi ho gayi . bhondu sochne laga ki akhir likhu kya ?? kahani likhu , novel likhu ya phir koi article likhu .kahani ya novel likhunga to bahut sare kirdaar (character ) banane padenge phir har character ke samvaad(dialogue) likhne padenge phir har kirdaar ke liye mahaul(situation) bhi banana padega . is se acha hai ki koi article hi likh liya jaye .par article bhi likhe to kis par ?? iran , iraq , usa par bahut kuch paper mein likha aa raha hai , tv par aa raha hai .is par likhna kuch baaton ko duhrana hoga aur kuch baaton ka virodh karna , kul milakar article ki kahani bhi bhayanak ( horrible) ho jayegi ,jismein kuch log khush honge to kuch naraj . aur bhondu kisi ko naraj nahi karna chahta .
phir bhondu ne socha kyon na kisi celebrity par kuch likha jaaye .celebrity ka sochte sochte uske dimag mein bahut se log aane lag gaye . film star , politician , samaaj sudharak ,kahanikaar , kavita likhne wale kavitakaar aur shayar , pop singer . ab yaha bhi bhondu ki samsya ( jo ab unki vayatha mein badalti ja rahi thi ) khatam nahi hui . akhir celebrity par likhna hai to kis celebrity par likha jaye ?? agar film star par kuch likhte hai to film wale magazine ka kya hoga ? politician par kuch likhte hai to paper aur tv walo ko kya hoga ?? aur kahi kuch ulta sidha likh diya aur voh kisi politician ne padh liya to bhondu ke ghar par income tax walo ,police walo ka aana jaana shuru ho jayega .aur agar kisi rachnakaar chahe voh writer ho , shayar ho ya phir kavitakaar ke bare mein likhta hu to log kahenge ki dekho apne aap ko unse bhi bada samjhta hai ..kuch to aata jaata hai nahi aur unke bare mein chale hai likhne !! aur kisi samaj sudharak ke bare mein likhta hu to log kahenge ki pahle khud ko sudhar lo phir kisi samaj sudharak ke bare mein likhna .ab bache pop singer ..to unke bare mein tv aur paper mein aata hi rahta hai .
ooh !! bahut badi samsya hai aapki bhondu ji !! logo ke bare mein kitna sochte hai aap !! log yeh kahenge ..log voh kahenge aur yehi samsya ab bhondu ki vayatha banti ja rahi thi .tab bhondu ne socha kyon na apne bare mein hi kuch likha jaaye par yeh kya !! bhondu ki dimag ki batti gul !!!! akhir hua hi kya tha uske sath jo hindi sahitya aur English sahitya ke bade bade lekhako ke sath hua aur sahitya ke dunia ke alawa jin jin logo ke sath kuch na kuch hua aur unke bare mein likha gaya ..unhone kuch aisa kiya hai jiska prabhaav samaj aur desh – dunia par pada . par bhondu ke sath yeh bhi baat nahi thi .
ab bhondu ne dimaag ke ghode daudaana shuru kar diye . akhir likha jaye to kis par …?? Idhar pet mein bhi dard ho raha tha . bahut der sochne par achanak unke dimag ki batti jal uthi .
kisi bhi article ,kahani ya novel ka kuch aadhaar( plot )hota hai .pahle ek plot ke bare mein socha jaye ..phir kahani ya article to khud-ba-khud likh denge .
ab bhondu kisi plot ke bare mein ache se sochne laga. Par pet mein to dard abhi bhi ho raha tha .is dard ko mitane ke liye kuch na kuch to likhna hi padega . bahut soch samjh kar bhondu ne kahani (?)( ya phir article …mujhe pata nahi kyon ki bhondu ne abhi tak nishchaye(decide) nahi kiya tha ki voh kahani likhne ja raha hai ya phir koi article) ka shirshak (title ) ..“kahani ka plot” apne computer par type kiya .
areeeee yeh kya !! bhondu ka pet ka dard bilkul thik ho gaya .chamatkaar !! chamatkaar!! Aaj ke yug mein bhi chamatkaar!! Ek writer ka pet sirf shirshak likhne se thik ho gaya. Bhondu ki kushi ka thikana nahi raha .akhir bahut dino ke baad voh kuch likhne ja raha tha . dard to thik ho gaya par vayatha to abhi bhi hai …akhir likha kya jaaye ????
bhondu abhi soch raha hai ..aur main bhi soch raha hu ki akhir yeh bhondu ki kahani ka plot kab samapt (end) hoti hai .

Tuesday, September 2, 2008

Story of a Man

A Man once approached a Sadhu for initiation. The Sadhu said: “I will initiate you when I meet you next time.” The Man pressed the Sadhu again and again on several days for quick initiation. The Sadhu totally declined. He returned to the Man after a couple of years. He placed in his Bhiksha-bowl some mud, hair, urine and excreta and approached the Man for alms. The Man brought nice sweet-meats, Kheer, Halwa, etc., for the Sadhu. He prepared nice dishes as he thought he would be initiated this time by the Sadhu. The Sadhu said to the Man: “Put everything in my bowl.”

The Man said: “How can I place them, Swamiji, in this dirty bowl. Kindly clean the bowl and bring it to me. I will place all the preparations in it.”

The Sadhu replied: “When such is the case with this bowl how can I place the pure Lord in your heart which is filled with various impurities like lust, anger, pride, greed, etc. How can I initiate you now, when your mind is very dirty like this bowl?”

The Man got vexed and went away in shame. He purified himself through charity and selfless service and got himself initiated by the same Sadhu after some time. The ground (mind) must be prepared first. Why do you bother much about Upadesha? Purify yourself. The initiation will come by itself.

Friday, August 1, 2008

ek surya ast ho gaya … sharadhaanjali ....

Kuch insan aise hote hai jo apne muh mein chandi ka chammach (spoon) lekar paida hote hai .kuch aise insan hote hai jo apne muh mein chandi ka chammach apne pariwar se paate hai .kuch insan aise hote hai jo apne muh mein chandi ka chammach apne kiye gaye kaamo se pata hai aur kuch insan aise hote hai jinke kiye gaye kaaryo se samaj prabhavit ho kar unke muh mein chandi ka chammach deta hai aur voh apne kiye kaaamo se itne mashoor hote hai ki …samaj , desh unko hamesha yaad karta hai ..
Manohar shayam joshi aise hi ek vayakti the .unke bare mein mera kuch likhna waisi hi baat hai jaise main kisi ko yeh dikhaaoon ki dekho yeh surya hai jo aasman mein chamakta hai ..
Mujhe abhi "Vishnu Prabhakar ji" ka likha hua yaad aa raha hai jo unhone "sharat babu" ki jeevni "awara masiha" mein likha hai "jeevni kya hai ? anubhavo ka shrinkhalabadhh kalatakmak chayan .ismein vey hi ghatanyen piroin jati hai ,jinmein samvedna ki gehrai ho .."
Par main yaha Manohar shayam joshi ji ki jeevni nahi likh raha hai ..mujh mein itni badi kaabliyat nahi ki main itne bade insaan ke bare mein unki jeevni likh daalu..na hi main unhe vayaktigat rup se janta tha .maine unhe unki rachnaao ke dwara jana .main to bus us mahan aatma ke prati apni gehri samvedna prakat kar raha hu ….ek aisa vayakti jisne apni rachnao se samaj ki tasveer humare samne rakhi aur apne kahaniyo se humein kabhi hasaya aur kabhi sochne par majboor kar diya ..

Doordarshan ka pahla mega serial " HUM LOG" ko kaun bhul sakta hai jiske prstota (anchor ) DADA MUNI the ..aaj bhi jinhone doordarshan par is serial ko dekha aur is upanayas(novel) ko padha hai , unke jehan(atma , soul) mein aaj yeh voh sare kirdaar jinda hai ..HUM LOG ke kahani ke piche Manohar Shayam joshi ji ke kalam ka chamatkaar tha .
Veerawali aur Master ji ke pyar ko kaun bhul sakta hai jisne "BUNIYAAD" ki buniyaad dali aur unki prem kahani amar ho gayi ..unke prem katha aur tyag ki kahani ko likhne wale Joshi ji hi the .
Aur bharitiye aam sadharan janmanas ke sapno ka pratinidhi karne wale Mungeri laal .. "MUNGERI LAAL KE HASIN SAPNE" jiske sapno ne hume khub hasaya jiska kirdaar Raghuveer Yadav ji ne bakhubi nibhaya .
Is desh ki aadhi se jayda aabadi madhyam vargiye parivar hai aur jinhone bhi isko dekha aur padha ..yeh unke apne jeevan se milta julta sa lagata hai aur apni hi kahani aur sapne lagte hai .
Aur bharat ki rajniti ko jis tarah unhone apne vayang (satires) "NETA JI KHAIN" mein darshaya hai ..to lagta hai ki jaise yeh sare raajnetao ki raajneeti hai jo hum aur aap dekhte (??) hai .

Subah subah ek surya aasman mein ugta hai …par 30 march 2006 ki subah ko ek surya ast ho gaya ..par yeh voh surya hai jo kabhi ast nahi hoga .voh amar ho gaye premchand , nirmal varma , amrita pritam ,mahashweta devi ,vishnu prabhakar ,nagarjun, ayegya ,sharat babu,bankim,tagore , nirala aur renu ji ki tarah …voh hamesha jinda rahenge humare aur aapke bich ..unki rachnaaye unko hamesha jinda rakhengi ..aur aane wali pidhiyan (generations) bhi jab jab unki kahaiyan , vayang ko padhenge ..voh hamesha yaad aayenge ..
Aise mahan rachnakaar ko mere jaise sadharan insan nishu ka akhiri pranam ….uperwale unhe shanti aur sawarg pradaan kare ..

kahte hai jisko - dosti !!

kahne ko bahut se log kahte hai dost hai humare ...par dosti shabd wastav mein apne aap mein bahut hi khatin aur aasaan sa shabd hai ..kathin is liye ki dosti nibhana apne aap mein ek bahut badi jimmedaari ka kaam hai aur aasaan is liye ki hum dosto ke sath bhi kuch fursat ke lamhe bitate hai aur is fursat ke lamho mein jo khushi milti hai use shabdo mein nahi bayan kiya ja sakta hai
vicharo ki saamaanta hi dosti ka mool adhar hota hai ...kabhi kabhi in vicharo ke sath sath vayavhaar bhi shamil hota hai ...samaan vayavhaar ...ji ha yahi to vicharo aur vayavhaar ki samanta hi do anjaan logo ke ek sath jodta hai aur yehi mitrata ka sambandha banata hai ..
parivaar se jude hue rishto ko hum kabool karte hai aur nibhate hai par dost humapni marji se chunte hai jinke sath sath hum sab kuch baatte hai ..chahe voh dukh ho ya phir sukh ..baatein jo kabhi unkahi hoti hai ya phir kahi hui baatein ...parivaar samaj ki bhale hi ek mool eekaai ( basic unit) ho par dost aur dosti us se bhi badh kar hai ...akhir yehi dosti aur dost humein samaj mein rahne ka tarika samjhate hai aur kafi had tak dunia daari bhi ...
frndship day ( 3 aug) par is khoobsurat rishte ko meri taraf se mere sare dosto ko subhkaamnaaye ..aap sabhi ka dost nishu

Friday, July 25, 2008

ek shabd

ek nimn star ka vayakti ek khas vayakti , ya phir ek khas vayakti samooh ke bare mein sochta hai .ek madhyam star ka vayakti ek khas ghatna , ek ghatna sangrah , ya phir pure samaj ke bare mein sochta hai . par ek uchh star ka vayakti ek vichar , ek paribhasa , ek parivartan ke bare mein sochta hai jo sakaaratmak hoti hai .par main abhi ek shabd ke bare mein soch raha hu !!

ab main aap logo ke uper yeh chhodta hu ki aap mujhe kis star ka vayakti samjhte hai ? kyon ki mera yeh manna hai ki aap kabhi bhi apne bare mein ek sachhi raai nahi bana sakte .agar aap apne bare mein ek raai bana lete hai aur kisi dusre ko bolte hai ki aap yeh hai ..aap voh hai to iska matlab yeh hai ki ya to aap bewakoof hai to nahi to sari dunia ko aap bewakoof samjhte hai kyon ki aap ke bare mein ek raai yeh samaj , aapke dost ,aapke samooh ke log aur aapke aas paas ke rahne wale log banate hai aur yeh raai aapke vayaktigat raai se jayda mashoor hoti hai kyon ki log aapki baat par raai nahi banate yeh unki vayaktigat raai hoti hai jo aapko dekh kar banate hai ,aapke kiye kaamo ko dekh kar banate hai !!

ha to main jis shabd ko lekar soch raha hu voh shabd hai .. Jugaad !!!! ji haan ……jugaad !! jugaad ..jugat lagana shabd se nikla hai jo aaj kal vyapak star par istemaal kiya jata hai .

Chahe voh insaan koi bhi ho agar voh hindi bhashi hoga to usne jugat lagana shabd ka istemaal kam hi kiya hoga ..voh aksaar jugaad shabd ka istemaal karta hai aur had to yeh hai ki aaj ke globalization ke jamne mein yeh shabd itna famous ho gaya hai ki ab USA mein baitha hua India ka project head bhi ab is word ko bakhubi janta hai aur apne American English mein dhadalle se istemaal karta hai ..chahe use kisi mantri se apne company ke liye koi kaam nikalwana ho ya phir use kisi cabinet mantri ko ghus dene ke liye apne kisi aadmi ko kehna ho aur aashcharya ki baat hai yeh voh American bhi samjhta hai ki bina “jugaaad” ke India mein kuch nahi ho sakta hai !!
Aur ek had tak baat sahi bhi hai !! yaha kya ..kahi bhi bina jugaad ke kuch nahi ho sakta hai .chahe voh university mein gold medal pana ho ya phir kisi ache company mein uchi salary aur acha post pana ho to aapko jugaad karna aur jugaad lagana aana chahiye varna mehnat karte rahiye aur aapke sath kaam karne wala jugaad laga kar aapse kahi aage nikal jayega !!

samaj , office aur har jagah aise jugaadi aadmiyo ke badi punch hoti hai aur kisi sadharan insaan se jayda unki ijjajat (prestige) hoti hai ..voh har party ki jaan hote hai .

Jugaad aur jugaadi har jagah aapko mil jayenge ..aur agar nahi mile to aap bhi jugaad laga sakte hai aur ek acha sa jugaadi insan ban sakte hai !!

Aapke paas jugaad hai to aap bina akal aur mehnat ke acha sa post cabinet mein pa sakte hai bhale hi aapke MP ya MLA angudha chaap hai jinko likhne tak ki tamiz chhodiye ..bolne tak ka tarika nahi aata hai .aapke paas jugaad hai to to aap ghotaala kariye ..court aur enquiry agency mein jugaad lagaiye aur har report ko tod madod kar apne mutabik bana lijiye !! aur aap aur bhi jayda adventure ke shaukin hai to kisi jaanvar ya kisi insaan ka khun karke bhi jugaad laga kar bach sakte hai aur aap samaj mein ek ijjatdaar vayakti ki tarah rah sakte hai .

Business man is jugaad rahte hai ki kaise kala bazari karke jayda se jayda paisa banaya jaye ..bhale hi uske liye chawal mein kankad milna pade aur haldi mein peele rang se dhula hua ret !!

Sarkaari Engineer is jugaad mein rahta hai kaise jayda se jayda fund apne department ke liye nikaal sake aur kisi project aur office work ke naam par mantri , thekedaar aur babu logo(ias) ke sath jayda se jayda paisa bana sake .

Ek police officer is jugaad mein rahta hai ki kaise ek apradhi se paisa lekar us apradhi ke virodhi party ko maare aur agar us virodhi party ne jayda paise diye to us officer ke jugaad wale apradhi ki khair nahi !!apharan , loot aur yaha tak murder aur rape jaise gire hue kaamo mein bhi mein bhi jugaad lagana nahi bhulte yeh samaj ke prahari!! aur is jugaad ki wajah se piste hai voh log jinhone apna khoya hai aur unki aakhon mein rah jaati hai ek jugaad ki asha ..
Ab kisi ki beti ki shadi ko hi le lijiye ..ladki ka peeta is jugaad mein rahta hai ki kaise koi acha sa ladka mil jaye jiske sath unki bitiya jeevan bhar khush rahe aur dudho nahaye puto bhale aur ladke ke baap is jugaad mein rahta hai ki kaise jayda se jayda dahej liya jaye taki unke ladke ka aarthik bojh jeevan bhar ke liye thoda kam ho jaye aur uska bhavishya bhi surakshit rahe.

Humare desh ke adhe se jayda software professional is jugaad mein rahte hai ki kaise company ke paise par bahar ( bahar matlab India se bahar aur jaydatar usa, Germany aur japan ) jane ka mauka mile taki unka career aur uncha jaye aur bahar ghumne aur rahne ka mauka mile aur mehnat (read jugaad ) rang laayi to bahar hi bahar ranhe ka jeevan bhar mauka bhi mil jayega !!

Samaj ko badalne se pahle ..insan ka badalna jaroori hai .kabhi kabhi sochta hu ki mujhe us vayakti ya mahila ka samaj ke samne samman karna chahiye jo dunia ka pahla jugaadi hoga aur jugaad shabd ki khoj ki hogi !!
par kya kabhi is jugaad ka ant hoga jiska istemaal karke ek apradhi rape ,murder jaisa gira hua kaam karke bach nikal jata hai , kya us system ka kabhi ant hoga jis system mein imaandaar IAS , IPS darkinaar kar diye jate hai aur uski jagah beimaan aur chatukaar IAS,IPS humare aapke diye hue paise se jama hui tax par apna vetan uthate hai aur unki ki tarah chor , chatukaar ,beimaan neetao ke sath milkar ghotala karte hai aur jugaad laga kar apne aap ko bacha lete hai ! kya kabhi is jugaad ka ant hoga jiska istemaal karke dange karwane wale bach jate hai aur dange mein mare gaye logo ke sirf naam rah jate hai un riots reports mein aur us report ka istemaal karke political parties sirf ek dusre ki taang khichte hai .kya is jugaad ka ant hoga ??

Jai jugaad !!!!!!!!!!!!!!!! dhanya ho jugaadi mahapurush/mahila !!

Wednesday, July 16, 2008

sitaro ke sath

raat ab khatam hone ko hai aur subah ab thodi der mein dastak dega ..intezaar tha ...neend ka ..jo aaj phir nahi aayi ..nayi baat nahi .pahle bhi nahi aayi thi ..ab bhi nahi aa rahi hai.
dil ko sukoon dene wali baat yeh rahi ki din bhar pasina bahane ke baad , raat ko thandi hawa chal rahi hai ..jo ke delhi mein bahut kam hi aisa hota hai .chand jo purab se chala tha ..paschim disha mein ja kar dhal gaya ..ya phir hoga bhi saamne wali building itni unchi hai ki nazar nahi aa sakta .
haan .....nazar aa raha hai to mera voh fav sitara ...jo sitara nahi ..ek planet hai ...shukra graha ...chamkata hua ...dhire dhire jata hua .4 saal hue ..is se naata tut gaya tha ....us se judi tamaam baatein jo kabhi maine sochi ....sochna chhod diya ...
kya isko waqt YA PHIR kismat kahu ????kismat jise kabhi manta hu aur kabhi nahi maanne ko dil karta hai ....
gulzaar sahab ke gaane bhi abhi mere sath intezaar kar rahe hai ...mere neend aane ki ....aasmaan ko dekhte hue .... khuli chhat ke niche "do naina aur ek kahani" .....kahani jo chal rahi hai aur aur isko dekhte hue mere do naina ....aur sath - sath chal rahe hai ...mere manpasand gaane ...sitaro ke sath .....

Friday, July 11, 2008

kissa kursi ka !!!!

wafa bhi tumse karnge aur shikwe-shikayaat ho to bewafaai bhi karenge tumse ...chalo wafa nibhani thi kyon kursi shamil thi par jab desh heet(????) ki baat ho to kaise wafa karnge ???? ohoooooooo bahut der ke baad left walo ko desh heet ki baat yaad aayi !!!! aur voh tab jab infaltion aasmaan par hai aur mehengaai ke bojh se aam aadmi ka dum nikla ja raha hai .
ek free of cost ki salah de raha hu aapko pradhanmantri ji ....ho jane sarkaar ko shaheed ...kam se kam se yeh mudda to aapko kehne ke liye mil hi jayega ki "bahiya !! humne to inflation ka flu kam karne ka tika khoj nikala tha ..par left wale jo abhi tak RIGHT ban kar humrae satth baithe ....phir se left ho bewafaai kar diye aur humari sarkaar gira di"
varna phir jod-tod ki neeti kaam kregi aur falana babu bolnge ki chalana babu ko hatao ..humko yeh banao aur phir se 10 hath-pair ki sarkaar chalegi ..jismien kabhi yeh bolega ..kabhi voh bolega ...aur jab sare bolenege to aap ko phir bolna pad sakta hai " main hi is UPA sarkaar ka dard samjhta hu ...jaha ek party ki majority nahi hai "
...to respected sir ...yeh kissa kursi ka khatam kab hoga ..jaha mandal,kamandal , lathi aur jhola type ke neta apni apni dafli lekar raag darbaari ga rahe hai ...voh bhi tab jab agle saal chunaav hone hi wala tha !!!!

Tuesday, June 17, 2008

badal sakoon agar main

yeh nazara kisi bhi shehar ka ho sakta hai ..aap kahi ja rahe hai aur kisi mod par jab aap ruke to koi bachha aapke saamne hath faila kar bhhekh maangne ko taiyaar khada ho ...nazar hata ke nikal jana kuch aur baat hai ..par us samasya par sochna ,alag masla hai . aakhir kyon ek bacha jo padkh sakta tha kuch ban sakta tha ..sadak par apni jindgi bitane ko majboor( ????) hai ...
majboor ke aage prshan suchak (question mark) isliye laga kyon ki kuch bache to bilkul hi nahi chahte ki unhe achi jindgi mile , voh jaha hai khush paate hai apne aap ko ..aur kuch suchmuch majboor hai kyon ki unke ma-baap nahi chahte ki voh kuch kare ..
kal hi baat hai .main nehru place se aa raha tha ..raste mein yehi manjar mila ..maine bachhe se pucha "tum padhna chahte ho " ..
voh bola "sahab paise de do ...padh kar kya hoga".
maine kaha "tum bhi bade aadmi ban sakte ho ..agar padhoge to"
bacha bola"sahab aap 100 rs de do ...aapko bada aadmi maan lunga"
hairaan rah gaya main uski baat so sun kar ....
gussa aur daya insaan ke andar ek sath ho ..us pal ko maine kal mehsus kiya .
maine kaha" chal 100 rs de dunga ...to kya bheekh mangana chhod dega tu"
voh bola "nahi ..sahab dena hai to do kyon maje le rahe ho !!!!"
maine aakhiri baar pucha us se "padhega ..main padhne ke liye paise dunga "
ladka aage badh gaya ...aur main hairaan ..
akhir kya badalne ki jaroraat hai ???? samaj ko ...ya us samaj mein rahne wale insaan ko jise madad ki jaroraat sabse jayda hai ...ya phir apne ki wishwas ko ..jo yeh sochta hai ki kisi ko bhi badla ja sakta hai ....

kai baar

kai baar socha main blogging start karu ...par kar nahi paya ...aaj se blogging start kar raha hu ..jaha main apne dil ki kuch baatein likhunga ...waisi baatein jis par main sochta hu ..kuch baatein jo mujhe sochne par majboor karti hai