Tuesday, March 3, 2009

yudh viram

shanti ..yudh viram ka dusra naam hai . agar koi 2 desh jaha halat bad se badtar hote jo rahe ho aur voh bhi teesre takat ki wajah se aur voh bhi tab jab yeh teesri takat(talibaan) dusre ke paale mein baith kar apni chal ek lomdi ki tarah khel raha ho . taliban ek lomdi ki tarah apni chaal chale ja raha hai aur voh bhi pak ki god mein baith kar to yeh jo shanti najar aa rahi hai voh sahi mein ek yudh viram ki tarah hai ..aur is baar ka yudh bade paimaane par lada jayega jaha india,usa aur israel ek taraf honge aur ek taraf sirf talibaan ( kyon ki aane wale 4-5 saalo mein pure pak par talibaan ka kabja ho chuka hoga ..aaj swat ghati , peshawar,sindh aur punjaab tak to yeh talibaan aa hi gayi hai ) ..aur is baar ki yeh ladai aar-paar ki hogi jaha pak aur palibaan puri tarah se khatam ho chuke honge ..