raat ab khatam hone ko hai aur subah ab thodi der mein dastak dega ..intezaar tha ...neend ka ..jo aaj phir nahi aayi ..nayi baat nahi .pahle bhi nahi aayi thi ..ab bhi nahi aa rahi hai.
dil ko sukoon dene wali baat yeh rahi ki din bhar pasina bahane ke baad , raat ko thandi hawa chal rahi hai ..jo ke delhi mein bahut kam hi aisa hota hai .chand jo purab se chala tha ..paschim disha mein ja kar dhal gaya ..ya phir hoga bhi saamne wali building itni unchi hai ki nazar nahi aa sakta .
haan .....nazar aa raha hai to mera voh fav sitara ...jo sitara nahi ..ek planet hai ...shukra graha ...chamkata hua ...dhire dhire jata hua .4 saal hue ..is se naata tut gaya tha ....us se judi tamaam baatein jo kabhi maine sochi ....sochna chhod diya ...
kya isko waqt YA PHIR kismat kahu ????kismat jise kabhi manta hu aur kabhi nahi maanne ko dil karta hai ....
gulzaar sahab ke gaane bhi abhi mere sath intezaar kar rahe hai ...mere neend aane ki ....aasmaan ko dekhte hue .... khuli chhat ke niche "do naina aur ek kahani" .....kahani jo chal rahi hai aur aur isko dekhte hue mere do naina ....aur sath - sath chal rahe hai ...mere manpasand gaane ...sitaro ke sath .....
Wednesday, July 16, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
kafi kuch dard chipaa he tummhare ander.tumhari baatein na jane kuich kahti he,kyaa?ye to wo hi samajh skta he.jisne ya to kabhi kisi se beintiha pyaar kiya he.pr wo kahin door chhut gyaa he.ab rah gai he uski kuch yaadein,shayad yahin yaadein jeene ka ek nyaa adhyay bne.nice blog.kafi achha lga hume
100 % right ....aur comment par mujhe yehi kehna hai ki "ambar ke taro ko dekho ...kitne iske pyare chhute ...kitne iske tare tute ...par ambar kab shok manata hai ...jo beet gayi so baat gayi ( harivansh rai bachhan) ....
Post a Comment