Wednesday, September 10, 2008

are ruk ja....

“are ruk ja …
are dham ja …
areee ruk ja re bande …
areeee dham ja re bande
ke kudrat has padegi hoooo…..”


Indian ocean ka gaayaa hua “black Friday” ke liye yeh gana sidhe saade shabdo mein sab kuch keh jata hai jo aligarh mein ho raha hai ..par jinko rukna hai …voh kab rukenge ….pata nahi ??
Film aur sahitya ( literature) kisi bhi samaj ya desh ka aaina hote hai . “black Friday” , “Bombay” ,Bhishm sahni ka “tamas” , khushwant singh ka “train to Pakistan” ek aise such se ru-b-ru karata hai jiske bare mein sabne ne padha aur kabhi kabhi tv aur film mein dekha hai par jin logo ne is tamas ko mehsoos kiya hai aur is dukh dard ko saha hai ..voh hi jante hai akhir yeh kya bala hai jiska naam DANGA hai .
Har kahani ka ek madhayantar aur ek ant hota hai ..jo pichle dino aligarh mein hua voh to bus ek madhyantar hai …is dange ki kahani ka koi ant nazar nahi aata ..
Kitne dukh ki baat hai …jiska aasraa sabhi lete hai ..usi ka naam lekar ek aadmi insaan se haivaan ban jata hai aur khun ki nadiya aise bahata hai jaise voh khun na ho kar pani ho ..jiski keemat ka andaja pata tab chalta hai jab voh phir se insaan ban kar kuch sochne par majboor hota hai .
Karl Marx ne sahi kaha tha “ dharm ( religion) aam janta ke liye afim ( opium) hai” aur isi afim ke nashe mein voh haivaan banta hai varna ek mandir aur ek masjid se kisi ka bhala hota to aaj sari dunia ke sadko , muhallo mein mandir , masjid aur dusre dharmik bhavan har dusri gali mein nazar aate !
Ek baar bhagwan budha ja rahe the tabhi daku angulimaal ne unhe marne ke liye roka . bhagwan budha ne kaha “main to ruk gaya ..TU KAB RUKEGA ??”
Hinsa ka jawab pratihinsa nahi hai .hinsa aur pratihinsa dange ka rup leti hai aur badle ki aag ko janam deti hai . badle ki aag manushya ko us chita ki agni se bhi jayda tez jalati hai jis chita par ek murda insaan pada hua hota hai ….fark sirf itna hai ki murde ko us agni ki dahak ka pata nahi chal pata hai aur jinda manushya pal pal us agni ko apne dil ,dimag aur sharir mein mehsus karta hai aur samanta sirf itni hai ki voh aag khatam hone par dono hi raakh mein badal jate hai .ek panch tatva mein vileen ho jata hai aur kahi bhi vileen nahi hota .

Main aaj ke angulimaal daku se puchta hu jo aaj har dharm mein ghus gaye hai ….TU KAB RUKEGA !!

1 comment:

someone somewhere said...

yeh bahut pahle likha tha maine ....