Saturday, October 25, 2008

roti,kapda aur makaan..ke uper

kisi bhi insaan ki sabse aham zaroorat roti,kapda aur makaan ki hoti hai ..par in sabse uper jo aata hai voh hai samman ...aatmasamman ...jo insaan ko samaj mein ek haisiyat aur apne aap mein ek mahatavapurna hone ka ehsaas dilati hai .
isi ko prapt karne ke liye bihari chhatra naukri-pani ki talash mein apna ghar-dwar se door sab kuch chhod kar apne parijano se hazaro kilometer chale jate hai ....is ummid mein ki jo unhe apne pradesh mein nahi mila ...voh shayad kahi aur mil jaaye .aur unki mehnat aur kabiliyat ke bal par voh sab kuch unhe mil bhi jata hai ..jiski talash aaj ka har yuva karta hai .
par isko paane aur na paane ke pahle jo unhe sahna padta hai ...voh hai bihari hone ka dansh ...bihari hone ki saja ..aur bihari hone ka apmaan ..jo har jagah unka picha karti hai ..kabhi to unke hi muh par ...kabhi unke peeth ke piche aur kabhi kabhi to bihari hone ki saja itni jor se milti hai ki dukh-apmaan se pidit hone ke baad dimag sochne par majboor ho jata hai ki kya "bihari hona hi apne aap mein itni badi saja hai ki koi unhe dekhna nahi chahta ...??"
kal tak jo hindutatva ka jhanda lekar ..ek khas sampradaay ko nishana banaya karte the ..vohi aaj marathi manus ka naam lekar bihariyo par apne julm ki nayi daastaan likh rahe hai ...4 bihari ladko ko itni buri tarah peeta gaya ki un charo ne dum tod diya ...kya jo bihari ladke mare gaye ..unki aakehon mein kuch kar gujarne ke sapne nahi the ...kya unke budhe hote hue ma-baap ki aakhon mein unke ache bhavishya ki kaamna nahi thi ...kya jin logo ke kaaran unki jaan chali gayi ...voh hindustani ka naam lekar unke ma-baap ke aasoon pochne jayenge kabhi ......nahi ..kabhi nahi kyon ki unhe yeh matlab nahi hai ki kaun mara aur kiske asoon tham nahi rahe hai ..
jinko lagta hai ki bihari unka hak maar rahe hai to unko yeh kyon nahi lagta hai ki jab unke bachhe disco mein ja rahe hote hai tab us samay kahi bihari ladka apne aap ki bhi parvaah kiye be-gair din-raat mehnat kar raha hota hai ..sirf ek behtar bhavishya ke liye ..jo voh sirf apne mehnat par paate hai ..unke ma-baap jo ek roti kam kha lete hai par apne bachho ko padhne ke liye 2 paise jayda dete hai taki unka bachha/bachhi padh likh jaaye aur apne pairo par khada ho jaaye ..
aur akhir is gundai ki raajneeti par kab tak voh bihariyo ko unka hak dene se rok sakte hai ....is desh ki neeti-neerdharan karne walo mein ek acha khasa hissa un bihariyo ka bhi hota hai jo UPSC jaise mushkil xam ko paar kar ke jate hai ..
sabse jayda aascharya ko is baat par hai ki ...yeh sab pichle kai saalon se hota aa raha tha ..aur pichle 2 saal mein mumbai mein yeh ek bhayankar samasya ban gayi hai ..phir bhi desh ke sabse bade-bade neta is baat chup baithe the aur unki chuppi ki wajah yehi hai kyon ki unhe is baat se koi matlab nahi hai ki ek bihari naukri ki talash mein jata hai aur kuch log ki hinsa (aur apmaan bhi) ki wajah se dum tod deta hai ...kyon ki unhe bihari se koi matlab hi nahi ...voh sirf ek vote bank hai ...voh mare ya jiye unki bala se !!
aur iski pratikriya jo bihari chhatro ne bihaar mein dikhayi hai ..voh bus unke aakrosh ka ek hissa bhar hi hai ...
sarkar chahe voh maharashtra ki ho ya phir delhi ki kendra sarkaar ya phir bihar ki rajya sarkaar ....agar samay rahte voh nahi chete aur isko rokne ke upaaye nahi kiye gaye ..to aane wale samay mein voh is nafrat ko badhne ke liye saman roop se doshi honge aur apradhi bhi ....aur iska dansh bihariyo ke sath -2 sabko jhelna pad sakta hai