yeh nazara kisi bhi shehar ka ho sakta hai ..aap kahi ja rahe hai aur kisi mod par jab aap ruke to koi bachha aapke saamne hath faila kar bhhekh maangne ko taiyaar khada ho ...nazar hata ke nikal jana kuch aur baat hai ..par us samasya par sochna ,alag masla hai . aakhir kyon ek bacha jo padkh sakta tha kuch ban sakta tha ..sadak par apni jindgi bitane ko majboor( ????) hai ...
majboor ke aage prshan suchak (question mark) isliye laga kyon ki kuch bache to bilkul hi nahi chahte ki unhe achi jindgi mile , voh jaha hai khush paate hai apne aap ko ..aur kuch suchmuch majboor hai kyon ki unke ma-baap nahi chahte ki voh kuch kare ..
kal hi baat hai .main nehru place se aa raha tha ..raste mein yehi manjar mila ..maine bachhe se pucha "tum padhna chahte ho " ..
voh bola "sahab paise de do ...padh kar kya hoga".
maine kaha "tum bhi bade aadmi ban sakte ho ..agar padhoge to"
bacha bola"sahab aap 100 rs de do ...aapko bada aadmi maan lunga"
hairaan rah gaya main uski baat so sun kar ....
gussa aur daya insaan ke andar ek sath ho ..us pal ko maine kal mehsus kiya .
maine kaha" chal 100 rs de dunga ...to kya bheekh mangana chhod dega tu"
voh bola "nahi ..sahab dena hai to do kyon maje le rahe ho !!!!"
maine aakhiri baar pucha us se "padhega ..main padhne ke liye paise dunga "
ladka aage badh gaya ...aur main hairaan ..
akhir kya badalne ki jaroraat hai ???? samaj ko ...ya us samaj mein rahne wale insaan ko jise madad ki jaroraat sabse jayda hai ...ya phir apne ki wishwas ko ..jo yeh sochta hai ki kisi ko bhi badla ja sakta hai ....
Tuesday, June 17, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
hi..........mujhe khushi hui,ki koi ek to mila,jo itnee achchi soch rkhta hain.aaj ke yug me insaaniyat itnee bhi nhi mri hain,ki hum dyaa aur kruna ka bhaaw bhool jaye.pr aise pryaas ke liye hume pahle apne jaise yuwao ko tyyar krna hoga.main bhi is smaaj ke liye kuch krna chahti hoon,pr ekaki prayas kam nhi aata.milker hi pryaas kiya ja skta hain,tbhi jo hum sochte hain jo tum sochte ho,wo sach ho skta hain.
sahi hai ....kuch sochne se jayda acha hai ..kahi kuch kar kar dikhaya jaaye ...baatein karne se kuch nahi badal jata hai ..agar koi mujhse road par koi ladka kahe ki mujhe bheekh nahi mangana hai .mujhe padhna hai to main sari padhai ka kharcha uthane ko taiyaar ko ...shart yeh hai ki voh padhne ko taiyaar ho .
Post a Comment