Wednesday, September 10, 2008

kahani ka plot kya ho????

Kahani ka plot kya ho, is baat par kahanikaar ki vyatha badhti hi ja rahi thi .voh bechara is dukh ko kinare rakh kar kahani ke plot par 2 din se apna sar khapaye ja raha tha . to chaliye is kahani ke kirdaar, jo ek kahanikaar hai, ka naam bhondu rakh dete hai kyon ki bina naam ka kahanikaar ki koi pehchaan nahi hoti hai , akhir har kahanikaar ka koi ek naam hota hai .
Hua yun ki pichle kai dino se bhondu ka haajma acha nahi chal raha tha .rah rah kar uske pet mein dard hota tha . doctor ke paas gaya kyon ki usne dadi ma ke sare nuskhe aajma kar dekh liye the phir bhi uska haajma aur pet ka dard acha nahi hua .ab akhir mein doctor hi ek sahara bachte hai kisi bhi eelaaj ke liye .
Doctor sahib ne uska ache se checkup kiya par bimari ka kya kaaran hai yeh unhe samjh nahi aaya . tab unhone use pneumonia se lekar HIV aur ECG tak ke test karwa daalne ko bola . jab sare report doctor sahib ke paas aaya to doctor sahib haairaan – pareshan !! sare report positive aaye the aur bhondu ka HIV test bhi negative aaya . ECG test bhi sahi aaya . tab doctor sahib ne socha ki ho sakta hai ki bhondu ko manovaigyanik samasya ( psychological problem) ho kyon ki kabhi kabhi manovaigyanik samasya ke kaaran bhi rog paida hote hai . unhone use psycho test karwane ko bhi bola . jab iske bhi result saamne aaye to doctor sahib aur bhi jayda hairaan – pareshan kyon ki bhondu ka IQ , EQ bhi sahi aaya tha . doctor ko laga ki kahi unki MBBS degree to kahi fail to nahi kar jayegi aur phir unhe apna jama jamaya clinic band na karna pade aur MBBS ( miya , biwi, bachha sath) ho kar ghar par baithna pade . akhir market mein bhi unki achi khasi reputation thi aur itne saalo se practice kar rahe the par aisa complicated case nahi aaya tha .
Unhe pasine aane lage , unhone ghanti dabaai . bahar baithi nurse daudi aayi .nurse ko laga ki bhondu kal raat ko pani pilane ko bol raha tha aur voh cable tv par film dekhne mein busy thi , kahi usi ne to kahi shikaayat nahi kar di hai . par uska andaaja galat tha .
“fan chala do” doctor sahib ne hukum diya .
nurse ne unhe ghurte hue dekha kyon ki room mein ac chal raha tha .
“sir……..” nurse ac ke bare mein bolna chah rahi thi ki tabhi doctor sahib se use daat pila di .
“kaha na , fan chalao”
nurse asmanjas ki sthithi mein fan chala kar fan ki hi tarah matakte hue room se bahar chali gayi .
doctor sahib ne preshani ko kam karne ke liye ek cigarette jalaya . bhondu ne apne baaye taraf ki diwal par ek poster dekha “no smoking” ka . par use laga yeh shayad marijo ke liye doctor sahib ne lagaya hai kyon ki ho sakta hai ki unhe apne saamne kisi marij ka cigarette pina acha nahi lagta ho . ek to marij aur ek marij ho kar cigarette pina to aur bhi buri baat hai . isi baat ko dhayan mein rakh kar doctor sahib khud cigarette pi rahe hai , yehi soch kar bhondu ne apne dil ko tassalli di . par bhondu ko kya pata ki uske case ne doctor sahib ko tension de diya aur voh dhunve mein apne tension ko door kar rahe hai .
Idhar doctor sahib soch rahe the ki akhir baat kya hai ? sare test bhi thik hai par phir yeh marij bol raha hai ki uske pet mein dard hota rahta hai aur haajma sahi nahi chal raha hai .tab unhe laga ki ho na ho psycho test mein isne kuch chhipa liya ho kyon ki aksar psycho test mein marij kuch na kuch chhipa leta hai jiske kaaran test mein gadbadi aa jati hai . tab doctor sahib ne uska psycho analysis karna shuru kar diya aur lage psycho interview lene .
Sawal puchte gaye aur bhondu sawal ke jawab deta gaya . isi sawal – jawab mein unhone puchha .
“kya karte ho??”
“kuch nahi” bhondu ne shant sawar mein kaha .
“kuch nahi !!!” doctor sahib ko jhakta laga .
“haan” bhondu ne phir vohi kaha .
“phir bhi kuch na kuch to karte hi hoge” doctor sahib ne use aur kureda.
“kuch karta nahi ..bus kabhi kabhi kuch article , ya phir kahani likha karta hu” bhondu ne kaha.
Doctor sahib ke chehre par 1000 watt ki muskurahat aa gayi .unhe unke marij ki samasya ka hal mil gaya tha . tab tak unki dusri cigarette bhi khatam ho chali thi . unhone vohi par bhondu ka psycho test rok diya . ab doctor sahib ko pakka yekin ho gaya tha ki saamne baitha yeh bhondu jaisa dikhne wala marij bhondu ke pet mein writer banne ka kida paida ho gaya hai aur rah rah kar yehi kida uske pet mein dard paida karta hai aur yehi wajah hai ki iska haajma acha nahi rahta hai .
“tumne bahut dino se kuch likha nahi hai” doctor ne 100+1 percent ke confidence ke sath kaha .
ab jhakta lagne ki bari bhondu ki thi . voh chauk ke bola ,
“haan!! Aapko kaise pata chala??”
ab doctor sahib puri tarah se aaraam ki mudra mein aa gaye .apne jeb se ek gutkha ka packet nikala aur faad kar kha gaye .bhondu ne phir diawal ki taraf dekha .uske dahine taraf ki diwal par likha tha “jindgi chuno …tambaku nahi” , phir bhondu ko laga yeh marijo ke liye hi likha gaya hai .
“aisa karo , ghar jaao . kuch likho ,kuch nahi likhne ke kaaran hi tumhare pet mein dard ho raha hai” doctor sahib gutkhe ke ras ko muh mein ghumate hue bole .
doctor sahib ne chain ki saans li kyonki bhondu ke piche unhone apna pura sar khapa diya tha . voh to shukra hai ki medical ki padhai ke dauraan university walo ne mbbs mein ek paper general psychiatry ka bhi rakha tha varna yeh bhondu to aaj puri medical thesis ki vaat laga deta . ab voh ghar jakar whiskey ke 2 peg laga kar aaraam se tv dekhne ke bare mein sochne lage .
bhondu ko bhi yekin ho gaya kyon ki doctor sahib ne pakad liya tha ki usne bahut dino se kuch bhi nahi likha tha .voh ghar aakar khana pina kha kar likhane ko baitha . socha pen se paper par likhu ya phir computer par hi type karu ?? phir usne socha ki ache ache writer ab paper par nahi likhte , voh ab computer par likhte hai . par samsya yeh thi ki bhondu to hindi mein likhta hai .aur computer mein to sirf English mein hi type ho sakta hai . par bhondu ji apne dil ko yeh kahte hue tassalli di “kya hua agar main computer par hindi bhi English mein type karu!! . akhir hindi filmo ke naam bhi to English mein likhe jate hai aur aaj kal to hindi film USA aur UK mein bhi hindi mein hi hote hai par phir bhi voh hit hote hai” .
bus isi baat ko dhayan mein rakh kar bhondu ji likhne baithe . par yeh kya ???? ab dusri samsya khadi ho gayi . bhondu sochne laga ki akhir likhu kya ?? kahani likhu , novel likhu ya phir koi article likhu .kahani ya novel likhunga to bahut sare kirdaar (character ) banane padenge phir har character ke samvaad(dialogue) likhne padenge phir har kirdaar ke liye mahaul(situation) bhi banana padega . is se acha hai ki koi article hi likh liya jaye .par article bhi likhe to kis par ?? iran , iraq , usa par bahut kuch paper mein likha aa raha hai , tv par aa raha hai .is par likhna kuch baaton ko duhrana hoga aur kuch baaton ka virodh karna , kul milakar article ki kahani bhi bhayanak ( horrible) ho jayegi ,jismein kuch log khush honge to kuch naraj . aur bhondu kisi ko naraj nahi karna chahta .
phir bhondu ne socha kyon na kisi celebrity par kuch likha jaaye .celebrity ka sochte sochte uske dimag mein bahut se log aane lag gaye . film star , politician , samaaj sudharak ,kahanikaar , kavita likhne wale kavitakaar aur shayar , pop singer . ab yaha bhi bhondu ki samsya ( jo ab unki vayatha mein badalti ja rahi thi ) khatam nahi hui . akhir celebrity par likhna hai to kis celebrity par likha jaye ?? agar film star par kuch likhte hai to film wale magazine ka kya hoga ? politician par kuch likhte hai to paper aur tv walo ko kya hoga ?? aur kahi kuch ulta sidha likh diya aur voh kisi politician ne padh liya to bhondu ke ghar par income tax walo ,police walo ka aana jaana shuru ho jayega .aur agar kisi rachnakaar chahe voh writer ho , shayar ho ya phir kavitakaar ke bare mein likhta hu to log kahenge ki dekho apne aap ko unse bhi bada samjhta hai ..kuch to aata jaata hai nahi aur unke bare mein chale hai likhne !! aur kisi samaj sudharak ke bare mein likhta hu to log kahenge ki pahle khud ko sudhar lo phir kisi samaj sudharak ke bare mein likhna .ab bache pop singer ..to unke bare mein tv aur paper mein aata hi rahta hai .
ooh !! bahut badi samsya hai aapki bhondu ji !! logo ke bare mein kitna sochte hai aap !! log yeh kahenge ..log voh kahenge aur yehi samsya ab bhondu ki vayatha banti ja rahi thi .tab bhondu ne socha kyon na apne bare mein hi kuch likha jaaye par yeh kya !! bhondu ki dimag ki batti gul !!!! akhir hua hi kya tha uske sath jo hindi sahitya aur English sahitya ke bade bade lekhako ke sath hua aur sahitya ke dunia ke alawa jin jin logo ke sath kuch na kuch hua aur unke bare mein likha gaya ..unhone kuch aisa kiya hai jiska prabhaav samaj aur desh – dunia par pada . par bhondu ke sath yeh bhi baat nahi thi .
ab bhondu ne dimaag ke ghode daudaana shuru kar diye . akhir likha jaye to kis par …?? Idhar pet mein bhi dard ho raha tha . bahut der sochne par achanak unke dimag ki batti jal uthi .
kisi bhi article ,kahani ya novel ka kuch aadhaar( plot )hota hai .pahle ek plot ke bare mein socha jaye ..phir kahani ya article to khud-ba-khud likh denge .
ab bhondu kisi plot ke bare mein ache se sochne laga. Par pet mein to dard abhi bhi ho raha tha .is dard ko mitane ke liye kuch na kuch to likhna hi padega . bahut soch samjh kar bhondu ne kahani (?)( ya phir article …mujhe pata nahi kyon ki bhondu ne abhi tak nishchaye(decide) nahi kiya tha ki voh kahani likhne ja raha hai ya phir koi article) ka shirshak (title ) ..“kahani ka plot” apne computer par type kiya .
areeeee yeh kya !! bhondu ka pet ka dard bilkul thik ho gaya .chamatkaar !! chamatkaar!! Aaj ke yug mein bhi chamatkaar!! Ek writer ka pet sirf shirshak likhne se thik ho gaya. Bhondu ki kushi ka thikana nahi raha .akhir bahut dino ke baad voh kuch likhne ja raha tha . dard to thik ho gaya par vayatha to abhi bhi hai …akhir likha kya jaaye ????
bhondu abhi soch raha hai ..aur main bhi soch raha hu ki akhir yeh bhondu ki kahani ka plot kab samapt (end) hoti hai .

No comments: